Ek holi wo thi ek holi ye hai,
Ek shaheedo ne kheli thi
Ki humari holi bebaak rahe
Ek holi aatankiyon ne kheli
Ki humari holika jal gayi,
Jinhone beeda uthaya tha
khoon ki holi khel kar
swatantrata ke phoolon se
Desh ko sajaya tha,
Aaj wahi holi roti hai
Holi mein rang laal aaj bhi hai
Par mayane badal gaye
shaheed hote aaj bhi hain
lekin unki shahadat ko
Netagan chat kar gaye
Unke balidaan ko
Rajneeti ke rail me
Kursi ke khel me
Istemaal kar gaye
Inhe rastra gaurav ka
maan nahi,desh pe apne
bacha koi abhimaan nahi
har paanch saal baad
satta ke galiyaroon mein
bhikhaari paida hote hain
note nahi vote sahi
maangkar le jaate hain
Phir inki holi hoti hai
aur phir rastra apne
pachhtave ke aansoo rokar,
gham bhulane ke liye
holi khelta hai aur
saath mein chand bottle
whisky ki uddelta hai
Ek holi wo thi ek holi ye hai
Ek holi wo thi ek holi ye hai
kab tak aakhir aaj ka yuva
kaam ka pressure batakar
apni rastra seva ke kartavya
se bhaagta rahega bachkar
Kyun hum jeete hain apne
swarth ki duniya mein
Kal kaisa hona chahiye
ye bhi hume nahi pata
Kal ko paise se tolkar
apni prakriti ko chhedkar
bhrast netaon ko na jhajkodkar
Apni duniya kyon bigaadte hain
Kyun nahi sambhaltein hain
antheen yatra mein bhatakte hain
Kyunki yatra mein sukhad sapne hain
Padaav nitant apne hain
In maya jaal se nikaalkar
Mushkiloon se gujaar kar
Aag mein tapkar
Nikhar jaaoge tum
Aaj holi phir ye kehti hai
Ki khelo mujhe usi laal rang se
Ki kehta wo laal lahu ka rang
ki tujhme hai jajba
kutchh kar dikhane ka
Muskil hai dagar
par tujhme hi hai wo josh
manjil ko paane ka
Aaj 'ye' aur 'wo' holi ka phark mita do
aaj gagan mein ek badi dahaad do
Vijay ki holi khelenge ye Pukaar do
Aur aane wali holi ko sudhaar do
yahi hai sachche veero ki shraddhanjali
Ek shaheedo ne kheli thi
Ki humari holi bebaak rahe
Ek holi aatankiyon ne kheli
Ki humari holika jal gayi,
Jinhone beeda uthaya tha
khoon ki holi khel kar
swatantrata ke phoolon se
Desh ko sajaya tha,
Aaj wahi holi roti hai
Holi mein rang laal aaj bhi hai
Par mayane badal gaye
shaheed hote aaj bhi hain
lekin unki shahadat ko
Netagan chat kar gaye
Unke balidaan ko
Rajneeti ke rail me
Kursi ke khel me
Istemaal kar gaye
Inhe rastra gaurav ka
maan nahi,desh pe apne
bacha koi abhimaan nahi
har paanch saal baad
satta ke galiyaroon mein
bhikhaari paida hote hain
note nahi vote sahi
maangkar le jaate hain
Phir inki holi hoti hai
aur phir rastra apne
pachhtave ke aansoo rokar,
gham bhulane ke liye
holi khelta hai aur
saath mein chand bottle
whisky ki uddelta hai
Ek holi wo thi ek holi ye hai
Ek holi wo thi ek holi ye hai
kab tak aakhir aaj ka yuva
kaam ka pressure batakar
apni rastra seva ke kartavya
se bhaagta rahega bachkar
Kyun hum jeete hain apne
swarth ki duniya mein
Kal kaisa hona chahiye
ye bhi hume nahi pata
Kal ko paise se tolkar
apni prakriti ko chhedkar
bhrast netaon ko na jhajkodkar
Apni duniya kyon bigaadte hain
Kyun nahi sambhaltein hain
antheen yatra mein bhatakte hain
Kyunki yatra mein sukhad sapne hain
Padaav nitant apne hain
In maya jaal se nikaalkar
Mushkiloon se gujaar kar
Aag mein tapkar
Nikhar jaaoge tum
Aaj holi phir ye kehti hai
Ki khelo mujhe usi laal rang se
Ki kehta wo laal lahu ka rang
ki tujhme hai jajba
kutchh kar dikhane ka
Muskil hai dagar
par tujhme hi hai wo josh
manjil ko paane ka
Aaj 'ye' aur 'wo' holi ka phark mita do
aaj gagan mein ek badi dahaad do
Vijay ki holi khelenge ye Pukaar do
Aur aane wali holi ko sudhaar do
yahi hai sachche veero ki shraddhanjali