Monday, April 29, 2013

Kya bhoolon Kya yaad rakhoon

Kya bhoolon kya yaad karoon
Godhuli bela
mandir ka prangan
prabhat ka aagman
masjid ki azaan
Kya bhoolon kya yaad karoon
Holi ke raang
gulaal abeer
Id ka chand
sewaiyan aur kheer
Kya bhoolon kya yaad karon


kya bhoolon kya yaad karoon
pratishod ki dhadhakti jwala
uttejana aur krodh
jiski aag mein maine
khud ko he jala daala
kya bhoolon kya yaad karoon
maadakta se utapanna
hui aseem dussahas
bhal manas ke andar
shaitaan ka attahas
kya bhoolon kya yaad karoon


kya bhoolon kya yaad karoon
anukool jo durdin mein
ban jata pratikool yahan
kaanton se sewit hai
manavta ka phool yahan
kya bhoolon kya yaad karon
Is upvan ki pagdandi pe
bach ke jaana
menka ke chitwan pe
nahi lalchana
kya bhoolon kya yaad karoon


kya bhoolon kya yaad karoon
jagti ki madakta
ya akshay tatva
sunderta ka aakarshan
jisme nahi amaratva
Kya bhoolon kya yaad karoon
yuvtiyon ke aalingan mein
paya santosh nahi
is kshannik sukh mein
mila koi paritosh nahi
Kya bhoolon kya ....


kya bhoolon kya yaad karoon
bachpan ke gilli aur dande
kabaddi ke daon peench
cricket khelne ke liye
apnaye hathkande
kya bhoolon kya yaad karoon
wo hockey ka stick
wo badminton ka net
football ka geela maidan
baarish ko chadh gayi bhent
kya bhool....


kya bhoolon kya yaad karoon
mushkilon ka wo daur
jisse hokar pada gujarana
aag mein tapkar
aur bhi nikharna
kya bhoolon kya......
vifaltaon ka na darr
safalta ka toota gurur
jaati kahan bachkar
haath aati jaroor
kya bhool kya yaad karoon


kya bhoolon kya yaad karoon
kyun nahi sabhalna
antheen yatra mein bhatakna
yatra ke sukhad sapne
padaaw nitant apne
Kya bhoolon kya yaad karoon
sapno ka yatharth
asmanjas ya dwand
iqchha ka balwati ho
jo bhi karwana
wahi yatharth ban jana
kya bhoolon............


kya bhoolon kya yaad karoon
Din bhar ki sair
ya alsayi subah suhani
jo hai sunaati
beete hue raat ki kahani
...Kya bhoolon kya yad karoon
mausam ki angrai
chhui mui si sharmai
aayi the aagosh mein
hua tha madhosh main
Kya bhoolon kya yaad karoon


kya bhoolon kya yaad karoon
Dish desh mein ganga behti hai
ya siskiyaan leti
kachron se aachhadit
dilli mein yamuna rehti hai
kya bhoolon kya yaad karoon
khara himalaya bata raha hai
daro na aandhi paani se
ya pradushit karte hum
prakriti ko aapni naadani se
Kya bhoolon kya yaad karoon


 

Dilli

Vaibhav ki deewani dilli.
Angrezi ki raani dilli
yamuna ka behta paani dilli
Chat papdi purani dilli
Rastrakul khelon ki dilli
pragati maidan ke melo ki dilli
...
Ye dilli hai mere yaar
bas isq mohaabat pyaar

मातृभूमि

अमेरिका प्रवास के दौरान लिखी एक रचना

मातृभूमि

ए  मातृभूमि  मेरी  रह  ताकना
सूरज   पर  स्वर  होक  आऊँगा
नए  बयार  नया  सवेरा  लाऊँगा
तेरी  उर्वर  शक्ति  को  शत शत  नमन
माँ  गंगा  है  तुझे  सींचती
हरित  क्रांति  मैं  लूंगा
ए  मातृभूमि  मेरी  रह  तकना
सूरज  पर   सवार   होके  आऊँगा
मुझे  आँचल  में  समेट  लेना
स्नेह  का  आलिंगन  मुझे  देना
... तेरा  आशीष  पाकर  मैं
विषम   परिस्थितियों  से  लड़  जाऊँगा
ए  मातृभूमि  .............

रतीश 

भारत भूमि

अरे ओ  भारत  भूमि  विशाल
मस्तक  पे  तेरे  हिमाला  है
हैं  चरण  धोती  तेरी
हिन्द  महासागर  विकराल

दक्कन  बढाती  है  तेरा  मान
दक्षिण  तेरा  दैदीप्यमान
बंग  भूमि  तेरा  अभिमान
उर  स्थित  विन्ध्य  शोभायमान

देव  भूमि  है  तेरा  श्रृंगार
उत्तर  प्रदेश  ,कलिंगा  और  बिहार
रण  कच्छ   सौराष्ट्र  मराठवाड़
राजस्थान  की  हो  जय  जय  कार

मेरा  कोटि  कोटि  नमन
करूँ मस्तक  से  स्पर्श  चरण  ।।

@रतीश 

सफ़र

एक  पल  था  जो  बीत  गया
जो  सपना  था  अब  अतीत  हुआ
अंतहीन भ्रमण  क्या   है
ये  प्रत्यक्ष   प्रतीत  हुआ
वो  नज़ारे  वो  मंजर
वो  सहारे  और  खंजर
कुछ   खट्टी  कुछ मीठी
लम्हे  यादें  और  सफ़र

@रतीश